ho chuka waz ka asar waiz ab to rindon se dar-guzar waiz subh-dam hum se tu na kar takrar hai hamein pahle dard-e-sar waiz bazm-e-rindan mein ho agar shamil phir tujhe kuchh nahin khatar waiz waz apna ye bhul jae tu aawe gar yar-e-sim-bar waiz hai ye murgh-e-sahar se bhi faiq subh uthta hai peshtar waiz masjid-o-kaba mein tu phirta hai ku-e-jaanan se be-khabar waiz shor-o-ghul band to nahin karta hai tu insan ki koi khar waiz zahiri waz se hai kya hasil apne baatin ko saf kar waiz banda-e-ku-e-yar hai 'bahram' teri masjid se kya khabar waiz