misre pe un ke misra-e-qad ka guman hua ek tabqa bait ka tabaq-e-asman hua chunta hai apni jubbe par afshan-o-mehr-wash gurdon ko shauq-e-parwarish-e-kahkashan hua khincha jo dushmani se gareban ko dost ne daman-e-ishtiyaq mera dhajjiyan hua ghurenge kya gulon ko gulistan-e-dahr mein rukhsat hui bahaar nuzul-e-khizan hua dikhlaenge bahaar kalam-e-fasih ki gar dahr mein 'shagufta' koi qadar-dan hua