aaj ek lahr bhi pani mein na thi koi taswir rawani mein na thi walwala misra-e-awwal mein na tha harakat misra-e-sani mein na thi koi aahang na alfaz mein tha kaifiyat koi maani mein na thi khun ka nam sada-nawai mein na tha khun ki bu shokh-bayani mein na thi koi mafhum tasawwur mein na tha koi bhi baat kahani mein na thi rang ab koi khalaon mein na tha koi pahchan nishani mein na thi khush-yaqini mein na tha ab koi nur zau koi khanda-gumani mein na thi ji sulagne ka dhuan khat mein na tha raushni harf-e-zabani mein na thi ranj bhule hue wade ka na tha lazzat ab yaad-dahani mein na thi lo ki jamid si ghazal bhi likh di aaj kuchh zindagi 'bani' mein na thi