achchhe lafzon se nawaze ya wo ruswai kare us ko haq hai ki burai kare achchhai kare pyar to soch ki diwar hila deta hai kaun is zehn ke dushman se shanasai kare hath se hath jhatak de ki use thame rakhe us ko aazadi hai jab chahe wo ji aai kare kya khabar khud ko hi ab bechna pad jae yahan kis ko malum sitam kaise ye mahngai kare karb zanjir ki manind jakad leta hai bhai ko sahna hi padta hai agar bhai kare main ne zehnon se qadamat ko khurach dala he shahr ka shahr mere dar pe jabin-sai kare pyar ruhon mein kashish ban ki dhadakta hai 'niyaz' ye wo jazba hai jo pal-bhar mein shanasai kare