aaj gum-gashta khayalat ne chaunkaya hai phir koi dasht-e-junun se mujhe le aaya hai zehn-e-awara ne ehsas ko rahen de kar manzil-e-dar-o-rasan tak mujhe pahunchaya hai khauf ne lut li har gam pe nabzon ki asas dar-ba-dar ruh ki galiyon mein mera saya hai hausle aaj bhi miras hain mere dil ke main ne har-gam pe tufan ko paltaya hai be-khatar kaun chala jaanib-e-manzil 'manzar' kis ka lahja hai jo mahaul se takraya hai