aankh mein khwab nahin khwab ka sani bhi nahin kunj-e-lab mein koi pahli si kahani bhi nahin dhundhta phirta hun ek shahr-e-takhayyul mein tujhe aur mere pas tere ghar ki nishani bhi nahin baat jo dil mein dhadakti hai mohabbat ki tarah us se kahni bhi nahin us se chhupani bhi nahin aankh-bhar nind mein kya khwab sameten ki abhi chandni-raat nahin raat-ki-rani bhi nahin laili-e-husn zara dekh tere dasht-nazhad sar-ba-sar khak hain aur khak udani bhi nahin kachche indhan mein sulagna hai aur is shart ke sath tez karni bhi nahin aag bujhani bhi nahin ab to yun hai ki tere hijr mein rone ke liye aankh mein khun to kya khun sa pani bhi nahin