darun zat ka manzar zamane par nahin khola

darun zat ka manzar zamane par nahin khola
basar ek raat karni hai abhi bistar nahin khola

musafir hun main bhuka hun sadaen din bahut lekin
dariche khol kar dekhe kisi ne ghar nahin khola

main tujh se mangta hun is liye maula nidar ho kar
ki jab manga mere aamal ka daftar nahin khola

yahan par hu ka aalam hai yahan aaseb baste hain
muqaffal hai kai barson se dil ka dar nahin khola

tamasha ban gaya aazad ho kar sab ki nazron mein
qafas khola magar sayyaad tu ne par nahin khola

pas-e-diwar teri yaad mein roe bahut lekin
sar-e-bazar hum ne yar apna sar nahin khola


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close