aaj har samt bhagte hain log goya chauraha ho gae hain log har taraf se tude-mude hain log jaane kaise tike hue hain log apni pahchan bhid mein kho kar khud ko kamron mein dhundte hain log band rah rah ke apne kamron mein tabalon par khule khule hain log le ke barud ka badan yaro aag lene nikal pade hain log rasta kis ke panw se uljhe khuntiyon par tange hue hain log