jis dar pe tera naqsh-e-kaf-e-pa na rahega rindon ke liye qabil-e-sajda na rahega jata to hai us jalwa-gah-e-naz mein ai dil kya hoga agar zabt ka yara na rahega parwane ko phunka hai to ai shama samajh le tera bhi kaleja kabhi thanda na rahega diwane ko zanjir se gahra hai talluq kyun us ko teri zulf ka sauda na rahega parwarda-e-tufan hai mere dil ka safina sahil ki tarah ye lab-e-dariya na rahega jhunjhla ke kaha us ne ye aaina patak kar munh is mein jo dekhega wo yakta na rahega marne ki adaon se nahin 'barq' jo waqif rahte hue zinda bhi wo zinda na rahega