aaj jine ki kuchh ummid nazar aai hai muddaton baad teri rahguzar aai hai zindagi ka koi ehsas hi baqi na raha zindagi le ke mujhe aaj kidhar aai hai aap dekhen to zara khun-e-tamanna ki bahaar kitni surkhi meri aankhon mein utar aai hai kis ke pairahan-e-rangin ki mahak hai is mein aaj ye baad-e-saba ho ke kidhar aai hai tu ne khud tark-e-mohabbat ki qasam khai thi kyun teri aankh mujhe dekh ke bhar aai hai ab kisi jalwa-e-rangin se mujhe kaam nahin un ki taswir mere dil mein utar aai hai is mein kuchh un ki jafaen bhi to shamil hain 'shamim' bewafai ki jo tohmat mere sar aai hai