pahle ye jism jalaya jae baad mein shok manaya jae us ki nazron mein agar aana hai us ki baaton mein na aaya jae ab to gardan pe hi ban aai hai ab to nazron ko uthaya jae kis ko har shai se mohabbat hai bhala kis ko aaina banaya jae wo jo aae na bulaya jae wo na aae jo bulaya jae aisi baaten jo sikhane ki nahin aisi baaton ko sikhaya jae dil mein baqi hain abhi ummiden kyun jigar kaam mein laya jae jis ko ab bhi ho siyasat pe yaqin us ko ye mulk dikhaya jae waqt ke sath na ye chal paya ab khuda phir se banaya jae