chaha bayan karun jon hai mere khayal mein mani ulajh ke rah gae lafzon ke jal mein jita hai kaun bahs mein murakh se aaj tak be-kar kyun ulajhte ho tum qil-o-qal mein le jaane wale lut ke sab kuchh chale gae hum sochte hi rah gae kala hai dal mein mumkin hai un ke dar se taka sa mile jawab lekin na hichkichaiye apne sawal mein rishte ki baat kaun kisi se kare yahan apna bana ke log phansate hain jal mein phulon ka dil kali ki tamanna meri dua kaam aae rang ban ke tumhaare jamal mein rakhte hain nap tol ke wo har qadam 'shamim' pyari lage hai un ki ada tedhi chaal mein