aaj ka din bhi guzar jaega qafila laut ke ghar jaega rah katti hi nahin hai apni sath kab tak ye safar jaega zakhm taza hai to dil dukhta hai waqt ke sath ye bhar jaega aazma gardish-e-dauran tu bhi aaina aur sanwar jaega bhagte daudte lamhon ka safar kab achanak hi thahar jaega subh khilta hua har phul 'shamim' sham aai to bikhar jaega