aaj ke mahaul mein insaniyat badnam hai ye inad-e-bahami ka hi faqat anjam hai haq-shanasi ka chalan hum mein nahin baqi raha subh apni pur-alam hai pur-khatar har sham hai haif barbaadi-e-gulshan apne hi hathon hui muft mein baad-e-khizan ke sar pe kyun ilzam hai dhundli dhundli si faza hai mehr aur ikhlas ki ab rifaqat aashti aur dosti gumnam hai tapte sahra se to bach kar aa gae the hum magar ab qadam kaise badhaen pur-khatar har-gam hai kya girani aur arzani ki hum baaten karen pani mahnga hai yahan aur khun saste dam hai bap se bachche ai 'mohsin' munharif hone lage tarbiyat aur ilm ke fuqdan ka anjam hai