aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna aur phir ek dubte suraj ka manzar dekhna sham ho jae to din ka gham manane ke liye ek shola sa munawwar apne andar dekhna raushni mein apni shakhsiyat pe jab bhi sochna apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna sang-e-manzil istiara sang-e-marqad ka na ho apne zinda jism ko patthar bana kar dekhna kaisi aahat hai pas-e-diwar aakhir kaun hai aankh banta ja raha hai rauzan-e-dar dekhna aisa lagta hai ki diwaron mein dar khul jaenge saya-e-diwar ke khamosh tewar dekhna ek taraf udte ababil ek taraf ashab-e-fil ab ke apne kaba-e-jaan ka muqaddar dekhna safha-e-qirtas hai ya zang-khurda aaina likh rahe hain aaj kya apne sukhan-war dekhna