aaj kisi ki yaad mein hum ji bhar kar roe dhoya ghar aaj hamara ghar lagta hai kaisa ujla ujla ghar apne aaen sar aankhon par ghair ki ye baithak na bane ghar aaseb ka ban jaega warna hansta-basta ghar ghar ko jab hum jhaden-pochhen rahte hain mohtat bahut gard-alud nahin hone dete hum ham-sae ka ghar tum ne kadiyan jhelin aur ghairon ke ghar aabaad kiye rah tumhaari takta hai aabai suna suna ghar jo aaram hai apne ghar mein aur kahan mil sakta hai tuta-phuta bhi ho to bhi apna ghar hai apna ghar ek anjaane dar ne nind uchak li sab ki aankhon se kitni hi raaton se musalsal be-aram hai ghar ka ghar meri ruh birogan rah rah kar chillati rahti hai mera ghar mera pyara ghar mera pyara pyara ghar aawaragardi ke sabab wo din-bhar to matun raha jab suraj maghrib mein duba 'jafar' bhi ja pahuncha ghar