aatish-e-fikr badan ghulta ho paiham jaise kisi nagin ne kahin chati ho shabnam jaise bas isi mod se kuchh aage hai manzil apni hadse maut nishan-e-rah-e-pur-kham jaise barf-aluda gulon par ye chamakti kirnen un ki hansti hui aankhen huin pur-nam jaise mausam-e-gul mein ye patton ke khadakne ki sada nafas-e-umr ki aawaz ho maddham jaise zakhm-e-dil roz kuredo to ho lazzat afzun ek mudawa hai gham-e-yar ho marham jaise os mein dube shagufon ki udasi ka dhuan kisi bimar ki aankhen huin pur-nam jaise aankhon aankhon mein koi baat hui phulon mein apne gulshan ki faza ho gai barham jaise husn hi husn hai kashmir ke but-khane mein dudhiya chandni phaili hui punam jaise khub 'jafar'-raza ahbab tumhaare hain ye jo hawaon se badal jate hain mausam jaise