aaj mahfil mein nae sar se sanwar aaenge un ko malum hai kuchh ahl-e-nazar aaenge ru-ba-ru yar ke gar bar-e-digar jaenge kar ke hum ek bada marka sar aaenge ye to dhamki hai ki wo ghair ke ghar jaenge ham-nashin dekhna hir-phir ke idhar aaenge sabr karne ko jo kahte hain nahin aate hain kya mere zakhm-e-jigar aap hi bhar aaenge kaun umid meri aap se puri hogi kaun arman mere aap se bar aaenge lakh pardon mein rahen mujh se nihan roz-ba-roz khwab mein wo mujhe har shab ko nazar aaenge dar se phir us but-e-pur-fan ke hamare nale saf zahir hai ki mayus-e-asar aaenge chashm-e-bina se jo dekhenge mera parda-e-dil ai masiha kai nasur nazar aaenge koi kah do ki bas ab aur tawaqquf na karen warna hum ji se guzarne pe utar aaenge na-tawani se hamari tujhe kya tera sambhaal hum tere samne phir sina-sipar aaenge aazmaenge gham-e-hijr ka ek aur ilaj kar ke sahra mein kuchh ayyam basar aaenge rahbari khak rah-e-ishq mein in se hogi dil agar hazrat-e-'rahbar' kahin dhar aaenge