hain dil mein dard magar kyon bayan nahin hota ki koi itna bhi to be-zaban nahin hota hisab kaise kare koi ishq-o-ulfat mein dilon ke saude mein sud-o-ziyan nahin hota kabhi talash hi leta main manzilen apni jo raston pe ghamon ka dhuan nahin hota ye barg-e-zard darakhton se jhad gae kaise khudaya kash ye daur-e-khizan nahin hota jidhar bhi dekho samundar yahan ghamon ka hai agar yahi hai jahan to jahan nahin hota