aawara sa galiyon mein jo main ghum raha hun zahir hai teri did se mahrum raha hun phir aankhen bichhae hue hun rah mein us ki phir har kisi rah-raw ke qadam chum raha hun ye hai meri bedari-e-qalbi ki hi ek waza har-chand teri bazm mein main jhum raha hun ghaddari-e-ulfat to nahin hai mera shewa is jurm ke hi khyal se masum raha hun khush-qismati-e-ahl-e-junun hai mera hissa aasaish-e-duniyawi se mahrum raha hun main bargah-e-husn se mayus na aata gham hai wale taqdir mein maghmum raha hun hun kya ki jo wo qadr bhi karte meri 'rahbar' ek harf hun aur harf bhi mauhum raha hun