aaj mahnga lahu se pani hai

aaj mahnga lahu se pani hai
saqiya teri mehrbani hai

aql par maslahat ke parde hain
dil pe jazbon ki hukmrani hai

aah dil mein na ashk aankhon mein
mujh mein ab aag hai na pani hai

un se kahna sanwar gae jangal
un se kahna ki rut suhani hai

man ki daulat pe rakh nigahbani
warna daulat to aani-jaani hai

barf se jism par nigah ke baad
sharm se dhup pani-pani hai

phul par itna phulta kyon hai
chand lamhon ki zindagani hai

pith par war ho nahin sakta
mera dushman bhi khandani hai

zakhm sare saja ke rakhta hun
aap ke pyar ki nishani hai

bas tadapne mein kat di 'bazmi'
zindagi hijr ki kahani hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close