aasman ruTha hua roe zamin ruThi hui

aasman rutha hua roe zamin ruthi hui
ek bala uftadgan-e-ishq par utri hui

wo sitam-pesha tamalluq-khu karam-na-ashna
meri khuddari khudi ke soz mein dubi hui

zehn-o-dil us ki ada-e-dil-nawazi par nisar
aur zanjir-e-ghulami panw mein bajti hui

bakhshti hai mujh ko aadab-e-mohabbat ka shuur
aandhiyon mein ek titli phul se lipti hui

tir hai tuti kamanon se koi chhoda hua
ya kisi qatil-ada ki ek nazar udti hui

surkh patthar ki fasilen taj-mahalon ka surur
yaad-e-mazi dastan-dar-dastan phaili hui

pyas se pazhmurda jaise ek rud-e-regzar
ek nadi kohsar se nikli hui bhatki hui

laila-e-manzil talak kitne nishan kitne nuqush
raston mein ja-ba-ja khushbu teri bikhri hui

kya hasham kya khak-ru khaki hue sab zer-e-khak
ghaur kar 'bazmi' ki ye duniya bhala kis ki hui


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close