aaj main hun sham hai saqi hai daur-e-jam hai

aaj main hun sham hai saqi hai daur-e-jam hai
panw ki thokar pe apni gardish-e-ayyam hai

bagh mein titli hai gul hai husn-e-lala-fam hai
chandni hai raqs mein ranginiyon ki sham hai

be-hisi kahiye ise ya khugar-e-gham jaaniye
apni nakaami pe bhi khush ye dil-e-nakaam hai

hum ko in se hai tawaqqo wo sarapa hain gurez
hain wafa na-ashna hum par yahi ilzam hai

kaun rukhsat ho gaya dewi ghazal ki ro rahi
shahar mein sher-o-sukhan ke ek macha kohram hai

ek zara sa dil hai aur duniya jahan ki aafaten
sainkadon gham ke charaghon se saja ye baam hai

meri 'farhat' shairi is be-sukhan ki den hai
shairi kya zindagani bhi usi ke nam hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close