aaj maqtal ko sajaya ja raha hai khun-e-nahaq bhi bahaya ja raha hai raqs karne ke liye kuchh ladkiyon ko bari bari hi bulaya ja raha hai jis ne kalima padh liya tha aakhiri dam is ka lasha kyun jalaya ja raha hai us ke lahje mein raunat to nahin hai us ko nazron se giraya ja raha hai ghar to khali hai guzishta ek mah se mere hathon se karaya ja raha hai mann-o-salwa se bahut aage hai ye karbala langar jo khaya ja raha hai do hain shair sirf cigarette ek hai bari bari kash laga ya ja raha hai aap ka mujh se jo rishta hai use kitni diqqat se nibhaya ja raha hai