ab masiha tere aane ke bahane nikle dil ke goshe mein kai zakhm purane nikle sukh jaane ke hain dariyaon ke imkan bahut barf ke phul khile dhup ke dane nikle dekhna kitne hi sailab umand aaenge aankh mein ashk liye tute gharane nikle sham hote hi jo dahliz pe aahat si hui mere aangan se kai khwab suhane nikle phir wahi khat wahi sukhe hue phulo ke waraq diary jab bhi khuli milte zamane nikle