ek sham ye saffak o bad-andesh jala de shayad ki mujhe shola-e-dar-pesh jala de is dil ko kisi dast-e-ada-sanj mein rakhna mumkin hai ye mizan-e-kam-o-besh jala de kis qaht-e-khor-o-khwab mein main mol ke laya wo nan ki jo kasa-e-darwesh jala de rukhsat ko hai dariya-e-dil-aram-e-rawani jo kuchh hai safine ke pas o pesh jala de shayad ki kabhi khak-e-kam-amez bala le aur mujh ko pas-e-lauh-e-kam-andesh jala de