aaj mujh sa is jahan mein be-nawa koi nahin

aaj mujh sa is jahan mein be-nawa koi nahin
kis ko main apna kahun jab aashna koi nahin

sar ko dhun lun main ki pitun dil jigar ko kya karun
ham-nashin hamdam na mahram ham-nawa koi nahin

ye shikayat hi sahi lekin hai apne bakht se
dosto tum se hamein shikwa gila koi nahin

be-niyazi ki ada aakhir ko un se sikh li
kya chale ho puchhne jab muddaa koi nahin

naqsh-e-hairat hain mere ahbab taron ki tarah
sab ki aankhen hain khuli par dekhta koi nahin

ye tumhaari sadgi bhi to bala-e-jaan hai
ishwa-o-ghamza nahin naz-o-ada koi nahin

naqsh-bar-diwar hun aa kar tumhaari bazm mein
log surat dekhte hain puchhta koi nahin

dekhne mein kis qadar dilkash hain rangin naqsh-e-gul
log phir bhi kahte hain bu-e-wafa koi nahin

ab gulon par khar ko tarjih di jaane lagi
is chaman mein ham-nafas bulbul tera koi nahin

ye sila meri wafa ka de ke wo bhi chal diye
umr bhar ki talkhiyan hain aasra koi nahin

phir kisi ne ek sada manus di hai dekhna
jabki is duniya mein apna ham-nawa koi nahin

doctor 'diwan' sahib aae bhi to kya karen
is mariz-e-ishq ke dil ki dawa koi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close