chashm tar hoti hai jab zikr tera hota hai huk uthti hai to kuchh dard siwa hota hai qatra dariya se juda ho ke hawa hota hai hijr ki tab na laya wo fana hota hai ras aaya na kabhi hum ko tabibon ka ilaj jitni pita hun dawa dard siwa hota hai jab hai aaghaz-e-mohabbat mein hi aisi haalat haal ab dekhiye anjam mein kya hota hai teri bhi chaal se uthte hain hazaron fitne mere nalon se agar hashr bapa hota hai bebasi par mujhe rona bhi nadamat bhi hai kis bure waqt mein zalim tu juda hota hai be-wafaon ki nazar kuchh meri taqdir nahin wo nazar pher len sau martaba kya hota hai mana yakta-e-zamana ho magar kyon sahib husn hone se bhala goi khuda hota hai kyon khafa ho gae ek zikr-e-sitam hi to tha doston hi mein to ai jaan gila hota hai aisi thandi hawa barsat ki rut dekh zara aisi haalat mein kahan koi juda hota hai raaz kya hai jo unhen aaj mohabbat utthi hai to kuchh baat jo ye uzr-e-jafa hota hai hashr mein wada-e-didar to kuchh thik nahin aaj dikhlane mein surat unhen kya hota hai rind-e-mai-nosh hai 'diwan' khuda ka banda mat bura kah use kyon muft bura hota hai