jo hain rind-e-azal gulshan ko mai-khana samajhte hain kali ko shisha-e-mai gul ko paimana samajhte hain haqiqat-ashna-e-gulsitan fasl-e-bahaaran mein hujum-e-rang-o-bu ko barq-e-kashana samajhte hain kisi din jis ke shoale khirman-e-hasti ko phunkenge usi bijli ko hum shama-e-tarab-khana samajhte hain nigahen dalte hain markaz-e-wahdat se kasrat par haram mein rah ke hum raaz-e-sanam-khana samajhte hain chhupa lete hain har zakhm-e-jigar ko fasl-e-gul mein bhi chaman mein phul mansha-e-gham-e-pinhan samajhte hain ‘alam’ rabt-e-dil-o-paikan ab is aalam ko pahuncha hai ki hum paikan ko dil dil ko kabhi paikan samajhte hain