aatish-e-mina nazar aai harifana mujhe ek taghayyur ki khabar deta hai paimana mujhe tishna-e-nazuk mizajaan-e-kanisht-o-dair ka barhaman kahne bhi de ek-adh afsana mujhe kis qadar hairat-asar nikli hai marg-e-andalib is sipas-e-jaan se gul lagta hai begana mujhe ek khayal-e-zulf-e-jaanan ek hawa-e-pech-pech ek na ek zanjir-e-sar rakhti hai diwana mujhe bosa-e-jaanan mein thi yun to had-e-shukr-o-sipas chahiye ek larzish-e-lab bhi raqibana mujhe us ke paikar ki jhalak rahon pe thi nazdik o dur kal ghurub-e-mahr tha ek aaina-khana mujhe shahr jin ke nam se zinda tha wo sab uth gae ek ishaare se talab karta hai virana mujhe