aaj muztar hai meri jaan khuda khair kare dil mein hai dard ka tufan khuda khair kare raat ko nind nahin subh ko aaram nahin un ke aane ka hai imkan khuda khair kare wo milate hain nazar ghair ki surat hum se ye to hai maut ka saman khuda khair kare ye suna hai ki dikhaenge wo jalwa apna dil ke ab niklenge arman khuda khair kare ab mujhe dekh ke katrane lagi hai duniya mit gai wo meri pahchan khuda khair kare jis ki fitrat hai jafa aur sitam hai shewa hai wahi dil ka nigahban khuda khair kare uth gae panw usi rah mein ab to mere jis mein nin ji ka hai nuqsan khuda khair kare main samajh baithi jise apni mohabbat ka khuda wo farishta hai na insan khuda khair kare aisi mazi ke samundar ne qayamat dhai dil ki basti hui viran khuda khair kare