aaj palkon ko jate hain aansu ulti ganga bahate hain aansu aatish-e-dil to khak bujhti hai aur ji ko jalate hain aansu khun-e-dil kam hua magar jo mere aaj tham tham ke aate hain aansu jab talak dida girya-saman ho dil mein kya josh khate hain aansu gokharo par tumhaari angiya ke kis ke ye lahar khate hain aansu teri pazeb ke jo hain moti un se aankhen ladate hain aansu shama ki tarah ek lagan mein mere 'mushafi' kab samate hain aansu fikr kar un ki warna majlis mein abhi tufan late hain aansu