guzar ko hai bahut auqat thodi ki hai ye tul qissa raat thodi jo mai zahid ne mangi mast bole bahut ya qibla-e-hajat thodi kahan ghuncha kahan us ka dahan tang badhai shaeron ne baat thodi uthe kya zanu-e-gham se sar apna bahut guzri rahi haihat thodi khayal-e-zabt-e-girya hai jo hum ko bahut imsal hai barsat thodi pilae le ke naqd-e-hosh saqi tahi-daston ki hai auqat thodi wahi hai aasman par ganj-e-anjum mili thi jo teri khairaat thodi tera ai dukht-e-raz wasif hai waiz pae-hurmat hai itni baat thodi chalo manzil 'amir' aankhen to kholo nihayat rah gai hai raat thodi