hui ghazal hi na kuchh baat ban saki humse

hui ghazal hi na kuchh baat ban saki hum se
ye sarguzisht-e-junun kab bayan hui hum se

sadak pe baith gae dekhte hue duniya
aur aise tark hui ek khud-kushi hum se

hum aa gae the ghane bargadon ke sae mein
sau baat karne chali aai raushni hum se

wo khwab kya tha ki jo bhulne laga dam-e-subh
wo raat kaisi thi jo ruthne lagi hum se

bujha ke apne alaw pada hamein chhupna
to yun kahani faramosh ho gai hum se

hum aaj phir badi tab-o-tawan se julte hain
phir aaj sahm to jaegi tirgi hum se

hum aaj bhi usi darwaze ki bane the darz
wo be-niyaz usi tarah phir mili hum se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close