aaj rang bhi lai dil ki bazm-arai

aaj rang bhi lai dil ki bazm-arai
chhut gaya hai hathon se daman-e-shakebai

dida-e-mohabbat ki ashk-reziyan kya thin
khushk ho gai kyunkar do-jahan ki pahnai

ye bhi ek bahana tha tum ko aazmane ka
warna jine walon ko maut bhi na ras aai

wahm se guzarna tha eatibar karna tha
thokaren na khaegi meri jada-paimai

mahw kar diya kis ne shor-e-mai-kada sara
kis ne hosh khoya hai kis ko teri yaad aai

mit gai hai be-kaifi baal-o-par ki ima se
ya nigah ki hasrat qismaten badal lai

surma ban gae 'anjum' dagh-ha-e-peshani
kaun chhin sakta hai sang-e-dar ki binai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close