aise bhi kahan milenge dil-ju

aise bhi kahan milenge dil-ju
eajaz ba-rang-e-chashm-e-ahu

ek bar hum is tarah se roe
un ke bhi nikal pade the aansu

phirta hun main dar-ba-dar jahan mein
kis ki hai talash aaj har-su

apni si jahan mein kar guzariye
shal hote rahenge dast-o-bazu

diwana bana rahe hain hum ko
duniya ye tere daraaz gesu

iman hai jin ka rang-o-bu par
thahre hain wahi to aaj bad-khu

tuta hai tilism-e-pak-bazi
aankhon mein wo bhar ke aae jadu

badla nahin rang gulsitan ka
phulon mein kahan se aae khushbu

'anjum' ye maraz na jaega ab
ab is ki koi dawa na daru


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close