aaj sayyaad ne bhule se chaman dikhlaya meri taqdir ne phir mujh ko watan dikhlaya ain masti mein jo wo shokh hua sar ki jabin ye ude hosh ki nashshe ne hiran dikhlaya jhut-puta waqt hua maut ka saman shab-e-wasl sahar-e-hijr ka murdon ne kafan dikhlaya chand ko dekhte hain lotte angaron par tum ne kyun kabk-e-dari ko ye chalan dikhlaya aae wallah dil-e-hairan mein kya kuchh arman us ne aaine ko tan tan ke jo tan dikhlaya marte jite hi rahe hum to aji dam dam mein na kamar us ne dikhai na dahan dikhlaya yaad mein phul se galon ke sambhaala dil ko kabhi nasrin to kabhi us ko saman dikhlaya phir tera shor-e-tabassum jo namak-rez hua phir mera taza mujhe zakhm-e-kuhan dikhlaya kal jo tha wada-e-wasl aaj wo farda nikla din qayamat ka to ai wada-shikan dikhlaya kyun na main khar banun chashm-e-raqiban mein 'nasim' phul se gal mujhe ghuncha-dahan dikhlaya