kis ne kaha ki chup hun miyan bolta nahin jab aag bolti ho dhuan bolta nahin raste ki baat ghaur se sunta hun is liye rah mein kisi se ham-safaran bolta nahin yun to har ek shakhs ka apna hi shor hai lekin kisi se koi yahan bolta nahin bas yunhi puchhta hun makinon ka haal-chaal barson se band hai ye makan bolta nahin sar kha liya hai dil ne mera bol bol kar kahta hun main jahan pe wahan bolta nahin kitni hi dastanen sunata hai lahr lahr kahne ko yun to aab-e-rawan bolta nahin dil mein utarta jata hai us ka kaha hua chahe wo shakhs meri zaban bolta nahin