aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal aaj apni manzil-e-maqsud par pahunchi ghazal jab sunai aap ne to ba-adab sun li ghazal aur jab koshan hua to be-dhadak kah di ghazal ye lab-o-rukhsar ye chehra tera pur-nur sa tujh ko kya dekha laga jaise koi dekhi ghazal kal jo dekhi thi ghazal to dil ki dhadkan ruk gai aaj jo dekhi ghazal to ban ke dil dhadki ghazal zulf ula chashm sani qafiya rukh lab radif rab ne tum ko hai tarasha ya koi likkhi ghazal qafiya rutha hua tha munh chidati thi radif tum kya ruthe raat bhar thi raat bhar ruthi ghazal tahat mein jab bhi padhi to ban ke nikli inqalab jab tarannum mein padhi to jhum uthi meri ghazal hain ye asnaf-e-adab jaan-e-sukhan-dan shairi nazm meri sans hai aur zindagi meri ghazal kah uthe hain sab sukhnawar ahl-e-mahfil ye 'shahab' jo tere lab se hui aakhir wahi thahri ghazal