kaise jale hain baal-o-par ye to sharar se puchhiye mere junun ka waqia mere jigar se puchhiye dil ko sukun na mil saka tere baghair umr bhar tir-e-nazar ki baat hai zauq-e-nazar se puchhiye mera to dil nikal kar jaise hayat rakh gai main ne kiya tha us ka kya us ke hi shar se puchhiye hae wo ek maqam par rahbar jahan pe ro diya ahl-e-safar pe guzri kiya gard-e-safar se puchhiye mujh se ye puchhiye mujhe kya hai diya hayat ne ahl-e-nazar ki baat to ahl-e-nazar se puchhiye nazuk si ek baat par tanha jahan mein ye dil kitna tadap ke rah gaya dard-e-bashar se puchhiye insan ko kya mila bata hasti tere wajud se kaise hui ye raushni shams-o-qamar se puchhiye qaid-e-hayat mein bhi han shauq-e-sujud ne mere sajde lutae kitne hain un ke hi dar se puchhiye 'ashraf' batae zindagi kaise ki sharmsar hai apna maqam aap khud apni nazar se puchhiye