dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin ab zikr-e-baada-o-lab-o-rukhsar bhi nahin apna tha khalwaton mein kabhi partaw-e-jamal qismat mein ab to saya-e-diwar bhi nahin shikwa zaban pe phul se ahbab ka ghalat ai dost mujh ko to gila-e-khar bhi nahin aaya na ras aap ko ai shaikh roz-e-hashr aur lutf ye hai aap gunahgar bhi nahin qaem hun apni tauba pe main aaj bhi magar koi hasin pilae to inkar bhi nahin kya kijiye numaish-e-gham khun-e-dil ke baad ab aarzu-e-dida-e-khunbar bhi nahin elan-e-be-khudi hai har ek qatra-e-lahu mere junun ki had rasan-o-dar bhi nahin nur-e-sahar ke nam pe bhatken na qafile dar-asl abhi to subh ke aasar bhi nahin waiz khayal-e-tauba baja hai magar abhi main to ba-qadr-e-zarf gunahgar bhi nahin