aaj tak dida-e-mushtaq se pinhan hi rahe ye alag baat wo nazdik rag-e-jaan hi rahe aur honge jinhen milta hai sukun-e-khatir hum teri bazm mein aa kar bhi pareshan hi rahe ek faqat bazm-e-nigaran hi pe mauquf nahin hum sar-e-dar bhi ai dost ghazal-khwan hi rahe ye bhi mumkin hai koi aae sar-e-rah-e-wafa ye bhi mumkin hai mere baad ye viran hi rahe