gala baitha hai katne ki hawas mein hichkiyan bhar kar chala hai koi tarkash mein qafas ki tiliyan bhar kar khade ho barishon ki aas mein kya kisht-e-dil walo koi baitha hua hai baadalon mein bijliyan bhar kar yahan to harf ka honton pe aate dam nikalta hai dil-e-diwana daman mein chala hai arziyan bhar kar tabassum zer-e-lab bhi ishq ko mauj-e-tasalli hai samundar so gaya daman mein khali sipiyan bhar kar kisi ne jab dil-e-barbaad ka ahwal puchha hai bagule rahguzar ki khak lae mutthiyan bhar kar hamare shauq ka hasil hai ye ab koi kya thahre khade hain jeb mein daman ki apne dhajjiyan bhar kar