bahaar ban ke chaman ki faza mein shamil hai ye kis ke jism ki khushbu hawa mein shamil hai kabhi mila na koi guftugu hui jis se wo kaun hai jo meri har dua mein shamil hai main jitna bach ke chalun utna khinchta hai mujhe ajab tilism-e-tamanna khata mein shamil hai sunega wo to yaqinan jawab bhi dega ye kaisa dar hai jo meri sada mein shamil hai ilaj ke liye bimar ab kahan jaen ki ek zahr yahan har dawa mein shamil hai banegi baat bhala kis tarah wahan 'masum' ana ka rang jahan iltija mein shamil hai