aaj tak dil ki aarzu hai wahi phul murjha gaya hai bu hai wahi sau bahaaren jahan mein aai gain maya-e-sad-bahaar tu hai wahi jo ho puri wo aarzu hi nahin jo na puri ho aarzu hai wahi man leta hun tere wade ko bhul jata hun main ki tu hai wahi tujh se sau bar mil chuke lekin tujh se milne ki aarzu hai wahi sabr aa jae is ki kya ummid main wahi, dil wahi hai, tu hai wahi ho gai hai bahaar mein kuchh aur warna saghar wahi subu hai wahi umr guzri talash mein lekin garmi-ha-e-justuju hai wahi mai-kade ka 'jalil' rang na puchh raqs-e-jam o khum o subu hai wahi