mizaj-e-alam-e-imkan hai barham dekhiye kya ho sitam-kash pai-ba-pai hote hain baham dekhiye kya ho gae wo din ki aawazon pe khamoshi ka pahra tha ba-har su gunjta hai soz-e-paiham dekhiye kya ho ye kaisa rang-e-mahfil hai pareshan hai bahut saqi bane baithe hain sab mai-khwar hamdam dekhiye kya ho chaman mein rang laegi saba ki aabla-pai pilati hai lahu shakhon ko shabnam dekhiye kya ho nazar takra rahi hai ab shua-e-mehr-e-taban se hui hai khushk kab ki chashm-e-pur-nam dekhiye kya ho rah-e-gham mukhtasar kar di hai bazm-e-na-shakeba ne hue hain manzilon ke fasle kam dekhiye kya ho