hua kare agar us ko koi gila hoga zaban khuli hai to phir kuchh to faisla hoga kabhi kabhi to ye dil mein sawal uthta hai ki is judai mein kya us ne pa liya hoga khusha wo raunaq-e-hangama-e-visal ab to yaqin hi nahin aata ki yun hua hoga kabhi uthe hi nahin hum talash ko warna koi to shahr mein apna bhi aashna hoga nikal pade the yunhi hum to ek din ghar se kise khabar thi ki yun tujh se samna hoga phir aaj sham se hi zehn ko faraghat hai phir aaj shab wahi yaadon ka silsila hoga teri baraat mein din-bhar yahi khayal raha ki is khushi ka asar tere dil pe kya hoga kabhi jo guzre tere shahr se to sochta hun ki is zamin pe kya kya qadam pada hoga wo garm garm nafas kaise thaharte honge ab in shabon ko wo kaise guzarta hoga wo khoi khoi wafaon ka bhula-bisra git kabhi to us ke shabistan mein bhi gaya hoga ye haul-nak khamoshi judai ka aashob main sochta hun ki yunhi raha to kya hoga kis aarzu mein uthe kis taraf chale 'anjum' is aadhi raat mein ab kis ka dar khula hoga