aamad-e-yar ki aai jo khabar haule se khul gae meri tamannaon ke par haule se ek tufan uthae hue baitha hai yahan wo mere dil mein gaya tha jo utar haule se shor kyunkar tu machata hai masiha ye bata dekh bimar gaya hai tera mar haule se rakh samjhe hai mohabbat ko ye duniya jo kabhi raqs karta hai kahin koi sharar haule se kash mil jae mujhe meri duaon ka sila kash khul jae kisi roz wo dar haule se kya hua hai ki tere baad mah-o-sal mere bin chhue hi mujhe jate hain guzar haule se rah dushwar sahi sath tumhaara ho agar yar kat jaega sanson ka safar haule se khar tab se hi nazar mein hai sabhi ki 'afzal' aap ne jab se hai ki us pe nazar haule se