aaj tak us ki mohabbat ka nasha tari hai phul baqi nahin khushbu ka safar jari hai sehr lagta hai pasine mein nahaya hua jism ye ajab nind mein dubi hui bedari hai aaj ka phul teri kokh se zahir hoga shakh-e-dil khushk na ho ab ke teri bai hai dhyan bhi us ka hai milte bhi nahin hain us se jism se bair hai sae se wafa-dari hai dil ko tanhai ka ehsas bhi baqi na raha wo bhi dhundla gai jo shakl bahut pyari hai is tag-o-taz mein tute hain sitare kitne aasman jit saka hai na zamin haari hai koi aaya hai zara aankh to kholo 'shahzad' abhi jage the abhi sone ki tayyari hai