guzar chuke hain badan se aage najat ka khwab hum hue hain muhit sanson ke par ja kar bahut hi nayab hum hue hain kisi ne hum ko ata nahin ki hamari gardish hai apni gardish khud apni marzi se is jahan ki ragon mein girdab hum hue hain ajib khoe hue jahanon ki gunj hai apne gumbadon mein na jaane kis ki samaaton ke mazar ka bab hum hue hain jo hum mein mismar ho chuka hai usi se tamir hai hamari adam ke patthar tarash kar hi abad ki mehrab hum hue hain tamam sathen ulat rahi hain hayat ki maut ki khuda ki jo tere dil se ubhar ke aate hain aise sailab hum hue hain 'riyaz' dar hai kahin na aankhon ki kashtiyon mein chhupe samundar jumud tuta hai sari maujon ka aise be-tab hum hue hain